Thursday, December 2, 2010

Its me: Jeewan Yatra

Its me: Jeewan Yatra

Jeewan Yatra


Jeewan ke kathin raho par,
manav nirmit chauraho par,
mai chala gaya bas chala gaya,
m pal pal mujhko bhi chala gaya.
Jab janm liya maine manav ka,
ishwar ka hi roop kahaya,
pal pal rota mai dekh ke sabko,
ishwar tune kaha fasaya,
dekh ko MAA ko gyat hua ye,
ishwar tu bhi saath me aaya,
Teen baras ka bhola bhala,
lagta sansar mujhe nirala,
jeewan ka kuch bhan nahi hai,
mujhe koi bhi gyan nahi hai,
Aathj baras ki aayu hui jab,
man par jhooth ka mail chadha tab,
paap punya ka bhed na janu,
jo karte sab satya hi maanu,
Barah baras ki umra jo aayi,
jeewan ne li phir angadai,
irshya dwesh ka rang chadhaya,
paap fir naye roop me aaya,
Athrah baras me aandhi aayi,
sare paap fir saath me laayi,
Kaam krodh mad moh lobh me,
path bhrasth ho gaya kathin mod pe,
Chaubish baras ki aayu jo paayi,
tab ye bat samjh me aayi,
Roti kapda aur makan,
itni sasti hai ye jaan,
Jab mai tees baras me aaya,
khud ko mujh par taras bhi aaya,
Jeewan ka udyeshya kho gaya,
mai kya tha aur kya mai ho gaya,
Saath baras ab beet gaye,
jeewan ka arth samajhne me,
kitna samay vyarth ho gaya,
is mayavi khilaune me..